AK VEG RECIPES

Friday, 11 August 2017

Lunch Recipes: Lunch Recipes in Hindi

LUNCH  RECIPES

Lunch Recipes



VEGETABLE RECIPES FOR LUNCH 

Paneer Masala Recipe

Paneer Masala recipe
This is fast to make and taste yummy with chapati or poori or bhaturas.Its been a while since I shared any paneer recipes, so I decided to make this quick fix curry and share it with you all.Hope you will give this a try and let me know how it turns out for you.




Matar Paneer Recipe

Matar Paneer Recipe
Aaj ham banayege Matar Paneer dhaba style.Yah bohat hi lajij sabji hai jise aap kisi bhi khas avsar par mehmano ke liye banaa sakte hai.Tamatar ki gravy me mulayam matar aur paneer milakar 😋bani matar paneer kise pasand nahi aati!Isse cream milakar rich gravy me bhi banaa sakte hai aur sirf tamatar ki gravy me bhi.Pesh hai Matar Paneer dhaba style.




Paneer Kofta Recipe in Microwave

Paneer Kofta Curry
Garmi me gas ke aage khade hokar khana banane ki bajaay microwave me khana banana adhik suvidha janak hai, paneer kofta microwave me bohat hi kam tel me banaye ja sakte hai, ye dar bhi nahi ki kofta tel me fat kar bikhar jayega, aur time bhi kam lagega.To aaiye aaj ham microwave me paneer kofta banaye.


Paneer Kofta Recipe

Paneer Kofta Recipe
Aaj ham stuffed Paneer Kofta banayege, inhe aap sham ke samay starter ke roop me bhi kha sakte hai aur tari banaa kar bhi, dono tarah se aapko ye behad pasand aayege.Paneer Kofta ek punjabi Subzi hai, Jo uttar bharat me bohat hi lokpriya hai.Paneer ke fayde beshumaar hai. Iss liye paneer ko jada se jada apni recipes me shamil kijiye.Inhe aap aloo ki jagah ubli hui palak, gobhi aadi se bharkar bhi banaa sakte hai.Aaiye suru karte stuffed Paneer kofta recipe.


Kaju Korma Recipe

Kaju Korma Recipe
Kaju korma rich gravy vali bohat hi svadist sabji hai.Isse kisi tyohaar par kisi khas avsar par ya party ke liye bnaya ja sakta hai, ya kuch khas khane ka man ho tab kaju korma bna kar khaya ja sakta hai.aaiye banana suru karte hai Kaju Korma.


Rajma Curry Recipe in English
Rajma Curry Recipe in Hindi

Rajma Curry Recipe



Mix Veg Makhani Recipe

Mix Veg Makhani Recipe
Kisi bhi shubh avsar ya party ke liye ekdam khas sabji Mix Veg Recipe naan, chapati, parathe, chaval ya poori ke sath apne menu me shamil kijiye, sabhi iske swad ke gun gane se khud ko rok nahi payege.To aaiye banana suru karte hai, Mix Veg Recipe.


Aloo Matar Gajar Recipe

Aloo Matar Gajar Recipe
Sardiyo ke mosam me aane vali taji-taji gajar aur matar se bani aloo matar gajar ki sabji ka swad hi nirala hota hai.To kyo na iss thar-tharati thand me aloo matar gajar ki sabji banayi jaaye aur garma-garam parathe, chapati ya pooriyo ke sath iske anokhe jaayke ka lutf uthaya jaaye.


Makki ki Roti Sarso ka Saag

Makki ki Roti sarso ka Saag
Makki ke mote aate se bani makki ki garma-garam roti, sarso ke patto aur thode se palak, bathua methi vagereh ke patto ko baarik kaat kar bna saag, makhan aur gud ke sath sardi ke dino me khane ka kuch alag hi mja hai.To aaiye banana suru karte hai Makki ki Roti Sarso ka Saag.


Saag Paneer Recipe

Saag Paneer Recipe
Sardiyo ki ahat ke sath hi bajar me hare patte vali sabjiyo ki bharmaar ho jaati hai.Aaj ham inhi hare patte vali sabjiyo ke sath halka bhuna hua paneer mila kar Saag Paneer ki sabji bnayege.Yah punjabiyo ki favourite dish hai.To aaiye aaj aapke sath Saag Paneer ki recipe share karte hai.


Tinda Masala Recipe

Tinda Masala Recipe
Aaj ham tinde ko tamatar ke masale me mila kar bna rahe hai .Tinde ko tamatar ke sath pakne me der lagti hai,isliye ham tinde aur tamatar ko do alag-alag pan me pka kar milayege.To aaiye banate hai Tinda Masala.


Bhindi Tamatar Subzi Recipe

Bhindi Tamatar Subzi Recipe
Kurkuri bhindi to ham sabhi ko bohat pasand aati hai, tamatar aur desi masalo ke sath bnayi hui halke rasile khas svad vali bhindi tamatar ki sabji jhatpat bnaiye aur chapati parathe ke sath parosiye.Sabhi ko pasand aayegi.



Carrot Beans Curry Recipe

Carrot Beans Curry Recipe
How are you all? Agar mai galat nahi hu to aap  Beans Carrot Curry search kar rahe hain, Right? If yes, then you're at right place.Here, I'm going to tell you a simple and easy way to Beans carrot Curry language which is most using language in India.Gajar aur beans ki curry dashin bharat aur uttar bharat dono jagah banayi jaati hai.Nariyal aur mungfali ki gravy me isse banaa kar iska svad aur bhi badh jata hai.


Jeera Aloo Recipe

Jeera Aloo Recipe
Aaj ham ज़ीरा आलू recipe bnayege .Uble Aloo aur Mirch masalo se chand minuto me banane vale Jeera Aloo behad majedaar aur swadist hote lagte hai.Jeera Aloo uttar bhartiya logo ki khas recipe hai.Jeera aloo ko har trah ki roti, pratha, kulcha, tanduri roti aadi ke sath serve kiya ja sakta hai.Yah bnane me bohat hi asan hai aur agar aloo pahle se uble hue ho to yah 5 minute me tyar ho jati hai.


Aloo Shimla Mirch Recipe

Aloo Shimla Mirch
Aloo aur shimla Mirch Indian cooking ke 2 main Ingredients hai.Aloo Shimla Mirch ki subzi banana bohat hi aasan aur turat furat banane vali recipe hai.Swadist paak kla hmare desh ki prachin shaili aur parmpra hai,paak kla ka matlab hai khana bnana, artharth ese vyanjan bnana ,jisse parivar ke log apni bhuk mita ske aur vo bhi svad se.To aaj ham bnayege Aloo Shimla-Mirch ki sabji.To ayie ham suru karte hai aloo-shimla mirch sabji ki delicious recipe.

DAL RECIPES

Dal Makhani Recipe

Dal Makhani Recipe
Dal makhani recipe ek bohat hi pasandida punjabi recipe hai.Yah  ek savaadist aur creamy daal hai,yah jitani savaadist hai utani hi postic bhi hai.To aaiye suru karte hai daal makhani banana.



Urad Dal Recipe

Urad daal tadka adhiktar uttar bharat me banayi jati hai.Sabut masalo ko taja kut kar banayi urad dal, hing aur sabut lal mirch ke tadke ke sath khas-kar uttar bharat ke dhabe ki bahu-tayat me parosi ja sakti hai.



Moong Dal Recipe

Moong Dal Recipe
Moong ki daal sabse jaldi pachne vali daal hai.Jab kuch halka fulka lekin jayekedaar khane ka man ho tab mung daal tadka bnaiye, sabhi ko bohat pasand aayegi.



Moongdal Turai Recipe

Moong Dal Turai Recipe
Swasthya-vardhak turai bohat se log kam khana pasand karte hai, lekin daal ke sath mix karke mungdaal turai banayi jaye, to ek alag hi swad milta hai.To aaiye banate hai Moongdal Turai.


PICKLES RECIPES

Lemon Pickle: Nimbu ka Achar

Lemon Pickle Recipe
Nimbu ka Achar kayi tariko se banaya ja sakta hai.Nimbu ka Masale ka Achar, Nimbu ka Sada Achar, Mitha Nimbu ka Achar, Tel ka Nimbu ka Achar, Sabut Nimbu ka Achar Etc.
Nimbu ka Achar Kafi din chalta hai aur swadist bhi hota hai.To aaiye aaj ham aapko Lemon Pickle banane ki alag-alag recipes batate hai.


Mirch ka Achar JhatPat

Mirch ka Achar
Kati hui hari mirch ko saunf, methi dana aur masale ke sath sirka mila kar turat-furat banne vala mirch ka achar samany achar jitna hi swadist lekin bnane me bohat aasan hota hai.



Adrak Hari Mirch ka Achar

Adrak Hari Mirch ka Achar
Tikhe ke shokino ke liye aaj ham khas adrak hari mirch ka achar ki recipe laye hai.Patli hari mirch, adrak, sarso aur sirke se tyaar hone vala yah achar kafi chat-pta aur majedar hota hai.


CHAPATI AND NAAN RECIPES

Butter Naan Recipe
Rojana ke parathe, chapati se yadi kuch alag naan khane me bane ho to sabhi bohat khush honge.Issi liye aaiye aaj sham ke khane me naan banate hai.


Aloo Naan Recipe
Sada naan to khane me ashe lagte hi hai, lekin bharva naan aur bhi swadist lagte hai, bharva naan ham aloo ke, paneer ke, daal ke aur gobhi ityadi vibhin chijo ke banaye ja sakte hai, saare bharva naan banane ka tarika to yahi hoga.Aaj ham aloo ke bharva naan banayege.To aaiye banana shuru kare aloo ke bharva naan.


Chese Naan Recipe
Ham sabki Pasandida Butter naan aur iske andar bhara mulayam pighla cheese, bahar se chaktedaar kurkari aur andar se ekdam soft-soft.Isse ham tave, oven ya tandur me bhi bna sakte hai.Isse dam aloo, paneer butter masala ya kisi bhi gravy vali sabji ke sath kha  sakte hai.Yah sabko bohat pasand aata hai.To aaiye banana suru karte hai Cheese Naan.


Matar Kachori Recipe

Matar Kachori Recipe
Matar ki kachori banane me itni aasan hai,ki jab bhi chahe aap turant bana kar apne mehmano ko khila sakti hai aur ghar me kabhi bhi jab aapka man ho matar ki kachori bana kar kha sakte hai.To aaiye aaj ham matar kachori Recipe banate hai.


Aloo Poori Recipe

Aloo Poori Recipe
Aloo ke bharva parathe to aapne khaye hi hoge, aloo aur ajvayin ko mila kar guthe hue aate ki poori ka khasta swad bhi aap bhul nahi payege.To aaiye banate hai aloo poori.Aloo ke bharva parathe to aapne khaye hi hoge, aloo aur ajvayin ko mila kar guthe hue aate ki poori ka khasta swad bhi aap bhul nahi payege.To aaiye banate hai aloo poori.

Bedmi Poori Recipe

Bedmi Poori Recipe
बेडमी पूरी: Bedmi poori keval delhi agra hi nahi samuche bruj anchal ka subah-subah khaya jaane vala man-pasand nashta hai.Ye bedmi poori kahi mung ki daal aur kahi urad ki daal dal kar banayi jati hai.



Kuttu Atta Poori Recipe

Kuttu Atta Poori Recipe
Aaj ham bnayege kuttu atta poori .Nvratri ka parv hamare desh ka mukhay tyohar hai, navratri ka arth hai 9 raate .Navratri devi durga mata ke 9 rupo ki puja karne ke liye pure desh me badi dhumdham se mnaya jata hai.kayi log navratri vrat bhi rakhte hai, vrat ke doran ham kuttu ka atta ya singhare ka atta use karte hai . Aaj ham kuttu ke atta se poori bnayege.To pesh hai kuttu atta poori recipe.


PULAO RECIPES FOR LUNCH

Chinese Fried Rice Pulao

Chinese Fried Rice Pulao
Sabjiyo aur sauce ke sath bane swad me ekdam lajvab chinese rice aajkal ke yuva varg ko bohat pasand aate hai.Yeh khane me jitne svad hai banane me utne hi easy.

Green Peas Pulao Recipe

Green Peas Pulao Recipe
Naye saal me basant ke aate hi taja hare chane aana suru ho jaate hai.Hare chano se tarah-tarah ke bhojan pakvaan banaye jate hai jaise ki-chane ki sabji, kheer, pulao aadi.Aaj ham banayege Green Peas Pulao Recipe jo sabko bohat pasand aayega.

Paneer Pulao Recipe

Paneer Pulao Recipe
Basmati chaval me bhune hue paneer ke tukde, naram mulayam matar ke daane aur desi masalo ki mahak.Paneer chaval ya paneer pulao recipe ko aap kabhi bhi  ya kisi khas avsar par bhi banaa sakte hai.

Samvat Rice Pulao

Samvat Rice Pulao
Navratri me sabhi shardhalu chahe vegetarian ho ya non-vegetarian sabhi satvik bhojan karte hai, vrat me to kuch hi chuninda bhojan ham kar sakte hai jisme se ek hai samvat rice or sama rice (chaval) pulao.To ayie ham sikhte hai kese banaye sama rice pulao.


RAYTA RECIPES FOR LUNCH

Cucumber Raita Recipe

Cucumber Raita Recipe
Mai hajir hu aapke liye Cucumber Raita Recipe lekar, Khane ke sath raita to sabko pasand hai, kheere ko kaddukas karke taja dahi ke sath raita banakar dekhiye, Itna svadist raita sabko pasand aayega.

Dahi Vada Recipe

Dahi Vada Recipe
Dahi vada khane me bohat swadist hota hai.Tyohar ya any kisi avsar par tala kha kar aapki tapiyat trapt ho gyi ho to dahi vada aapke pet ka bhi dhyan rakhega aur swad ka bhi, dahi vada urad ki dal se, urad dal aur mung dal mila kar aur sirf mung dal se bhi dahi vade banaye jaate hai, aaj ham urad ki dal se dahi vade bana rahe hai.Aaiye dahi vada Recipe banana shuru karte hai.


SWEET RECIPES FOR LUNCH

Coconut Kheer Recipe

Coconut Kheer Recipe
Dosto jnmashtami yaani ki krishna ji ka din aane vala hai, to kuch mitha banana to banta hai.To aaj ham batayege coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.Agar khane ke baad kuch mitha khane ka bohot man kar raha hai to isse jrur try kare, yah bohot hi swadist 😋kheer hai.To aaiye😊 banana suru karte hai coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.


Rabri Kheer Recipe

Rabri Kheer Recipe
Dudh me dardra pisa chaval mila kar pakaya aur fir rabri mila di iss tarah banayi hui kheer swad me ek dam alag hoti hai,isse kabhi bhi special avsar ya kisi bhi party me banaya ja sakta hai.To aaiye banana suru karte hai rabri kheer.


Gur ki Kheer Recipe

Gur ki Kheer
Gur ki kheer rajsthan,uttar pardesh aur bihar ki paaramparik recipe hai.Sardi ke mosam me gur ki kheer khane me aur bhi adhik swadist lagti hai.Bihar me gur ki kheer ko Rasiya aur paschimi uttar pardesh (Western UP) me isse raskheer bhi kahte hai.
To aaiye banana suru karte hai Gur ki Kheer.


Samvat Rice Kheer

Kya aapko kheer pasand hai, mujhe to bhohat hi jada pasand, par vrat ke dino me kheer kese khaye, isme sochna kya, samvat chaval or sama chaval ki kheer bnaiye aur svad se khaiye.Sama chaval(vrat ke rice) ki kheer bilkul ussi tarah se banti hai jaise ham sada chaval ki kheer banate hai, aaiye ham bnate sama rice kheer.

Sabudana Kheer Recipe

Sabudana Kheer Recipe
Aaj ham sabudana kheer bnayege.Yah ek mitha hai jo sabudana,dudh,sugar se banta hai.Yah ghar par bnana bohat hi asan hai,agar aapne sabudana pahle se bhigokar rakha hai to yah kheer bohat hi jaldi bankar tyar ho jayegi.Ise aksar vrat ya upvas ke dino me bnaya jata hai.


Rabri Recipe

Rabri Recipe
रबड़ी: Rabri dudh se banne vali mithaiyo me sabse swadist hoti hai.Rabri muh me jate hi ghul jati hai, Rabri ka swad apne aap me bohat hi nirala hota hai.Aksar aap rabri khane ke liye bajaar(market)  me jate hai, lekin aap ghar par hi bohat swadist rabri bana sakte hai.


Bread Gulab Jamun Recipe

Bread Gulab Jamun Recipe
Gulab jamun se jada swadist kya koi aur mithai ho sakti hai?Nahi na!
To aaj ham Gulab Jamun ki Recipe batayege lekin thodi si alag- aaj ham Bread Gulab Jamun Recipe batayege.Vese bhi khane ke baad kuch Mitha khane ka man karta hai.To aaiye jaldi se shuru karte hai, Bread Gulab jamun Banane ki vidhi.


Gulab Jamun Recipe

Gulab Jamun Recipe
Gulab jamun Recipe uttar bharat ki mithai hai,gulab jamun recipe mawa me maida dalkar banaye jate  hai ,paneer aur mawa se bhi gulabjamun banaye jate hai.Aaj ham mawa, paneer milakar gulab jamun banayege.Aaiye ham banaye svadist gulab jamun recipe.


Rasgulla Recipe

Rasgulla Recipe
Aaj ham banayege Rasgulla/Rasgulla Recipe.Rasgulla ka naam sunate hi muh me mithas bhar jati hai.Isse bnana thoda muskil hai par thodi si practice se aasani se banaye ja sakte hai.Aayie ham suru karte Rasgulla Recipe.

Sevai Recipe 

Sevai Recipe
Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe ek swadist bhartiya mithayi hai, jo dudh aur sevai se banti hai.Sevai kheer ko khaastaur par festivals par banaya jata hai, jaise ki- Raksha bandhan, Eid, Holi aadi.To pesh hai aapke liye Thin pasta/Vermicelli ki kheer/Sevai Kheer Recipe/Sevai Recipe Raksha Bandhan ke liye.


Rasmalai Recipe

Rasmalai Recipe
Rasmalai Recipe_Rasmalai ka naam sunte hi muh me pani aa jata hai, fir chahe vah bacha ho ya budha.Rasmalai Recipe bohat hi swadist bengali mithai hai, isko khate hi aisa lagega ki yah devo ki khas hai.Aap ise aksar bajar se le kar khate hoge, lekin aap isse ghar par bhi aasani se bana sakte hai.

Shrikhand Recipe

Shrikhand Recipe
Kesar aur ilaychi se lade malaidaar, chip-chipe shrikhand ke upar mile jule fal dale hue aur garma-garam puri ke upar daal kar parosa gaya, yah ek aisa vyanjan hai jiske liye aap kuch bhi kar sakte hai.Abhi iss jhatpat shrikhand vyanjan ke sath, aapko lalach nahi hoga, kyoki ab aap isse kabhi bhi bana sakte hai.To aaiye banate hai Yummy Shrikhand Recipe.


Suji Halwa Recipe

Suji Halwa Recipe
Creamy suji halwa recipe bohat hi delicious indian sweet recipe hai.Isse banane ke liye suji, dudh,sugar, ilaychi powder, taja cream aadi ki jarurat hoti hai.To aayie ham banate hai creamy suji halwa.


Badam Halwa Recipe

Badam Halwa Recipe
Badam halwa swad me to bejod hota hi hai, sath hi sath me bohat hi paustic bhi hai, khaskar study karne vale bacho ke liye.Badaam me protein, calcium, magnesium hota hai, yah bohat tajgi dene vala hota hai.To aaj ham badam halwa banayege.

Gajar ka Halwa Recipe

Gajar Halwa Recipe
Gajar ka halwa bohat hi swadist hota hai, aur kisi bhi khas avsar par banaya ja sakta hai.To  aaiye banate hai Gajar ka Halwa.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact