AK VEG RECIPES

Tuesday, 8 August 2017

Diwali Recipes: Diwali Recipes in Hindi

Diwali Recipes and dishes- Diwali Special Recipes including Diwali snacks recipes, Diwali Sweets Recipes, Diwali main course recipes and more.Diwali is a festival of light and joy, which is celebrated in all over india.Follow our Yummy and so Delicious Diwali special Recipes in Hindi.

DIWALI RECIPES: DIWALI RECIPES IN HINDI

Diwali Recipes


Mawa Gulab jamun Recipe-

Gulab Jamun Recipe

Gulab jamun Recipe uttar bharat ki mithai hai,gulab jamun recipe mawa me maida dalkar banaye jate  hai ,paneer aur mawa se bhi gulabjamun banaye jate hai.Aaj ham mawa, paneer milakar gulab jamun banayege.

Bread Gulab Jamun Recipe-

Bread Gulab jamun Recipe

Gulab jamun se jada swadist kya koi aur mithai ho sakti hai?Nahi na!
To aaj ham Gulab Jamun ki Recipe batayege lekin thodi si alag- aaj ham Bread Gulab Jamun Recipe batayege.Vese bhi khane ke baad kuch Mitha khane ka man karta hai.To aaiye jaldi se shuru karte hai, Bread Gulab jamun Banane ki vidhi.


Gajar ka Halwa-

Gajar ka Halwa
Aaj ham gajar ka halwa bnayege.Diwali aane vali hai , mehman to sabke ghar me ayege isliye aaj ham mehmano ke liye delicious gajar ka halwa bnayege.
Ayie ham suru karte hai gajar halwa recipe.


Rasgulla Recipe-

Rasgulla Recipe
Aaj ham banayege rasgulla/Rasgulla Recipe.Rasgulla ka naam sunate hi muh me mithas bhar jati hai.Isse bnana thoda muskil hai par thodi si practice se aasani se banaye ja sakte hai.Aayie ham suru karte Rasgulla Recipe.


Coconut Ladoo Recipe-

Coconut Ladoo

nariyal ladoo bohat swadist hote hai, ek baar chakh kar dekhege to sare ladoo khane ka man karega. Nariyal ke ladoo kache nariyal se bhi bante hai ,agar aap kache nariyal se bna rahe hai to nariyal kaddukas karke 1 chamach ghi me bhun lijiye.Pke hue nariyal ko bhunne ki avyshykta (jarurat) nhi hai.Aayie ham suru karte hai Coconut Ladoo Recipe banana.


Besan Ladoo Recipe-

Besan Ladoo Recipe
Aaj mai fir aapke liye ek svadist sweet dish lekar hajir hu.Besan ke laddu ham kisi bhi tyohar par bna sakte hai,isme bohat kam ingredients lagte hai aur ye aasani se ban jate hai.Diwali par jab aapke khas mehmaan aaye to unhe besan ke laddu jarur khilaye.


Pista Burfi Recipe-

Pista Burfi

Piste ki burfi to aapne khayi hi hogi par shop se kharid kar,par ab aapko kahi jaane ki jarurat nhi hai,ghar par hi svad se bhari burfi banaye aur khaye.
To aaj ham banayege pista ki burfi.


Coconut Burfi Recipe-

Coconut Burfi Recipe

Nariyal burfi: Isse ham vrat ke liye bhi banaa sakte hai aur jab mitha khane ka bohat hi man kare tab bhi.To aaiye banana suru karte hai svad se bhari Coconut burfi.


Kesar Burfi Recipe-

Kesar Burfi Recipe

Milk powder se safed aur kesariya burfi ki parte mila kar banayi hui milk powder kesar burfi holi,diwali ya kisi bhi tyohaar par banayi ja sakti hai,agar mava na ho ya jaldi se milk powder se mithayi banani ho to jaldi se is recipe ko banaa kar dekhiye.


Badam katli-

Badam Katli

Mithe me Badam ka ek naya swad chakhna hai, to banaiye badal katli.Yah Recipe behad aasan aur lajij hai.Aaj ham badam se burfi banayege.Badam Burfi kayi tarah se banayi jaati hai,lekin sirf badam aur chini se mila kar banayi badam katli ka svaad mawa ya condesed milk se milkar banayi gayi badam katli se ekdam alag hota hai aur iski self life bhi adhik hoti hai.


Gajar ki Burfi-

Gajar Burfi Recipe

Aaiye ham banate hai gajar ki lajvab recipe, kaddukas ki hui gajar ko dudh me pakaa kar jamayi hui Carrot Burfi Recipe banane ka tarika gajar ka halwa banane jaisa hi hai, bas thoda aur pakaiye aur jamaa dijiye.

Kesar Sandesh Recipe

Kesar Sandesh

Yah khaskar Raksha Bandhan special mithai hai, isse banana kafi simple hai.Isme kesar ka ghol dala jata hai, iss liye iska naam Kesar Sandesh hai.To aaiye sikhte hai Kesar Sandesh Recipe.


Mathura Peda Recipe

Mathura Peda Recipe

Mathura peda se savaadist aur ashe pede duniya bhar me kahi nahi milte.Mathura ji ke pede gaay ke dudh se banaye jate the lekin aaj kal gaay ke dudh ki bajaay bhains ke dudh se bhi banaye jate hai.Mathura peda banate samay mawa ko adhik se adhik buna jata hai.

Rabri Recipe

Rabri Recipe

 Rabri dudh se banne vali mithaiyo me sabse swadist hoti hai.Rabri muh me jate hi ghul jati hai, Rabri ka swad apne aap me bohat hi nirala hota hai.Aksar aap rabri khane ke liye bajaar(market)  me jate hai, lekin aap ghar par hi bohat swadist rabri bana sakte hai.


Malai Ghevar Recipe

Malai Ghevar Recipe

Ghevar bohot hi swadist mithai hoti hai, aur ise 56 bhog ke andar hi gina jata hai.Savan aur Raksha Bandhan me ghevar ki special demand hoti hai.Malai Ghevar kaise banate hai yaha se sikhiye.Ghevar me aapko kayi parkar ki varieties mil jayegi jaise ki- Plane Ghevar, Mawa Ghevar aur Malai Ghevar Recipe.


Sevai Recipe

Sevai Recipe

Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe ek swadist bhartiya mithayi hai, jo dudh aur sevai se banti hai.Sevai kheer ko khaastaur par festivals par banaya jata hai, jaise ki- Raksha bandhan, Eid, Holi aadi.To pesh hai aapke liye Thin pasta/Vermicelli ki kheer/Sevai Kheer Recipe/Sevai Recipe Raksha Bandhan ke liye.


Rasmalai Recipe

Rasmalai Recipe
Rasmalai Recipe_Rasmalai ka naam sunte hi muh me pani😋 aa jata hai, fir chahe vah bacha ho ya budha.Rasmalai Recipe bohat hi swadist bengali mithai hai, isko khate hi aisa lagega ki yah devo ki khas hai.Aap ise aksar bajar se le kar khate hoge, lekin aap isse ghar par bhi aasani se bana sakte hai.


Coconut Kheer Recipe

Coconut Kheer Recipe
Dosto jnmashtami yaani ki krishna ji ka din aane vala hai, to kuch mitha banana to banta hai.To aaj ham batayege coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.Agar khane ke baad kuch mitha khane ka bohot man kar raha hai to isse jrur try kare, yah bohot hi swadist 😋kheer hai.To aaiye😊 banana suru karte hai coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.


Shrikhand Recipe

Shrikhand Recipe

Kesar aur ilaychi se lade malaidaar, chip-chipe shrikhand ke upar mile jule fal dale hue aur garma-garam puri ke upar daal kar parosa gaya, yah ek aisa vyanjan hai jiske liye aap kuch bhi kar sakte hai.Abhi iss jhatpat shrikhand vyanjan ke sath, aapko lalach nahi hoga, kyoki ab aap isse kabhi bhi bana sakte hai.To aaiye banate hai Yummy Shrikhand Recipe.

Balushahi Recipe

Balushahi Recipe
Balushahi khane me ek dam khasta va swadist hoti hai aur isme mawa ka upyog nahi hota.
Dipawali ke parv par mithaiya to ham banayege hi.Mithaiyo ki adhik mang ke karan bajar me jo mawa milta hai,vah adhikans milavti hota hai issliye aisi mithai banana asha haijisme mawa upyog nahi hota , issliye aaiye aaj ham balushahi banaye.


 Suji Halwa

Suji Halwa Recipe
Hello friends, creamy suji halwa recipe bohat hi delicious indian sweet recipe hai.Isse banane ke liye suji, dudh,sugar, ilaychi powder, taja cream aadi ki jarurat hoti hai.To aayie ham banate hai creamy suji halwa.

Badam ka Halwa

Badam Halwa Recipe
Badam halwa svad me to bejod hota hi hai, sath hi sath me bohat hi paustic bhi hai, khaskar study karne vale bacho ke liye.Badaam me protein, calcium, magnesium hota hai, yah bohat tajgi dene vala hota hai.To aaj ham badam halwa banayege.

Gujiya Recipe

Gujiya Recipe
Gujiya kayi tarah se bnayi jati hai jaise ki mawa gujiya, seb gujiya, kesar gujiya, mewa gujiya, anjir gujiya, kaju gujiya aadi.To aaj ham mawa gujiya bnayege.
Ayie ham banate hai mawa gujiya recipe.

Lauki ki Burfi

Lauki Burfi Recipe
Hello dosto, Lauki burfi aap tyohar par bhi bna sakte hai aur vrat me phlahar ke roop me bhi bna sakte hai.Diwali,holi aadi tyoharo par aapke parivar ko ye delicious lauki burfi bohat hi pasand aayegi.Aayie bohat hi aasan tarike se lauki ki burfi banate hai. 






Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact