AK VEG RECIPES

Wednesday, 2 August 2017

Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe

Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe ek swadist bhartiya mithayi hai, jo dudh aur sevai se banti hai.Sevai kheer ko khaastaur par festivals par banaya jata hai, jaise ki- Raksha bandhan, Eid, Holi aadi.To pesh hai aapke liye Thin pasta/Vermicelli ki kheer/Sevai Kheer Recipe/Sevai Recipe Raksha Bandhan ke liye.

Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe

sevai kheer recipe

Ingredients For Sevai Recipe-

  • Sevai(Vermicelli)- 1/2 cup
  • Ghi- 1chamach
  • Dudh- 1 litre
  • Chini- 1/2 cup
  • Ilaychi Powder- 2 chutki
  • Jayfal ka Powder- 1 chutki
  • Kesar ke Dhage- 10-12
  • Kaju kate hue- 2 bade chamach
  • Badam baarik kate hue- 2 bade chamach
  • Kismis aur Kaju- Sajane ke liye

How To Make Sevai Recipe: Sevai Kheer Recipe-

Sabse pehale ek bhari tale ki Kadai me ghi daal kar garam kariye, fir sevai daal kar dhimi aanch par halka sunehra hone tak kuch der bhune, fir dudh daal kar gas tej kar de.

Jab dudh me ubaal aa jaye to gas dhimi kar ke gadha hone tak pakne de.Bich-bich me chalate rahe taaki dudh jal ke niche chipak na jaaye.

Jab dudh gadha ho kar aadha (1/2) reh jaye to kaju, badam, ilaychi powder, jayfal powder, kesar aur chini daal kar ashe se mila de aur lagataar chalate hue 4-5 minute tak aur pakaye.

Gas band kar dijiye, aur Sevai Kheer ko Thanda hone de.Lijiye tyaar hai aapki yummy yummy sevai recipe.Sevai Kheer ko thanda hone ke baad kate hue kaju aur kismis se sajakar parose aur khaiye.Aap chahe to sevai ko garma-garam bhi paros sakte hai.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact