AK VEG RECIPES

Wednesday, 28 December 2016

Paneer Kofta: Paneer Kofta Recipe in Microwave

Garmi me gas ke aage khade hokar khana banane ki bajaay microwave me khana banana adhik suvidha janak hai, paneer kofta microwave me bohat hi kam tel me banaye ja sakte hai, ye dar bhi nahi ki kofta tel me fat kar bikhar jaayega, aur time bhi kam lagega.

To aaiye aaj ham microwave me paneer kofta banaye.

How To Make Paneer Kofta In Microwave

paneer kofta curry,recipe
Yah Bhi Padhiye-Paneer Kofta Curry in Microwave Recipe in English

Ingredients for Paneer Kofta in Microwave (Avshyak Samgri)-

Kofta ke Liye-

  • Paneer-250 gram
  • Ararot ya Maida- 1-2 chamach
  • Namak- swadanusaar ya 1/2 choti chamach
  • Dhaniya powder-1/2 choti chamach
  • Hari mirch-1 baarik kati hui
  • Haraa dhaniya-1 tablesapoon(baarik kataa hua)

Tari ke Liye-

  • Tamatar- 3-4 medium size ke
  • Hari mirch- 1-2
  • Adrak- 1inch chota tukda 
  • Kaju- 15
  • Tel- 1-2 chamach
  • Jeera-1/2 choti chamach
  • Hing-1pinch
  • Haldi powder-1/4 choti chamach
  • Dhaniya powder-1choti chamach
  • Lal mirch powder-1/6 choti chamach
  • Namak-swadanusaar ya 3/4 choti chamach
  • Garam masala-1/4 choti chamach se kam
  • Haraa dhaniya-1 badi chamach (baarik katra hua)

How to Make Paneer Kofta Curry in Microwave-Vidhi

Kofta banaiye-

Paneer ko kisi pyale me daliye, ararot milaiye aur chikna aate jaisa hone tak mesh kijiye, namak, dhaniya powder, hari mirch aur haraa dhaniya daal kar ashi tarah mila lijiye.

Kofta ke liye mishran tyaar hai.

Microwave safe tray ya pyale ka dhakan le lijiye aur tel lga kar chikna kar lijiye.

Mishran se thoda mishran nikaaliye, gol kijiye,gole ko tray me rakhiye, ek-ek karke saare gole bna kar, tray me thodi-thodi dur par lga dijiye.

Microwave ko adhiktam taap-maan par, 4 minute ke liye set kijiye, kofta se bhari tray microwave me rakhiye aur kofta microwave kijiye.

Time khatam hone par tray ko bahar nikaal lijiye.Kofta ban kar tyaar ho gaye hai.

Tari banaiye-

Kaju ko 1/2 ghante ke liye garam pani me bhigo dijiye.

Tamatar dhoiye, bade tukado me kaat lijiye, hari mirch ke danthal todiye aur dho lijiye, adrak chiliye aur dho lijiye.

Saari chije aur bhige hue kaju mixer jaar me daaliye aur baarik hone tak pees lijiye.

Microwave safe pyale me tel daaliye, tel me jeera, hing, dhaniya powder aur haldi powder daliye aur microwave me adhiktam taap-maan par 2 minute ke liye microwave kar lijiye.

Time khatam hone par pyale ko bahar nikaliye aur pise hue masale, namak, lal mirch, garam masala daal kar milaiye aur 3 minute ke liye pyale ko dhak kar microwave kijiye.

Masale microwave hone ke baad, pyale ko bahar nikaaliye, 1 cup pani daaliye aur dhak kar 3 minute ke liye microwave kijiye.

Time khatam hone par pyale ko bahar nikaaliye, tari tyaar hai, tari me haraa dhaniya aur tyaar malai kofta daal kar 2 minute ke liye dhak kar rakh dijiye.

Microwave me bane malai kofta tyaar hai, garma-garam chapati ya parathe ya chaval  ke sath malai kofta parosiye aur khaiye.

Sujhav-
  1. Paneer kofta ke liye ye kaju ki tari banayi hai, aap apni pasand ke anusaar aur bhi tari jo aap pasand kare vah bna sakte hai.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact