AK VEG RECIPES

Monday, 6 February 2017

Dahi Vada Recipe: Dahi Vada Recipe in Hindi

Dahi vada khane me bohat swadist hota hai.Tyohar ya any kisi avsar par tala kha kar aapki tapiyat trapt ho gyi ho to dahi vada aapke pet ka bhi dhyan rakhega aur swad ka bhi, dahi vada urad ki dal se, urad dal aur mung dal mila kar aur sirf mung dal se bhi dahi vade banaye jaate hai, aaj ham urad ki dal se dahi vade bana rahe hai.Aaiye dahi vada Recipe banana shuru karte hai.

DAHI VADA RECIPE

dahi vada, recipe

Ingredients for Dahi Vada Recipe-Avshyak Samgri

  • Dhuli urad ki dal-250gram
  • Dahi- 1 kg
  • Namak-swadanusaar
  • Hing- 1-2 pinch
  • Kaju- 1 tablesapoon(chote-chote kaat lijiye)
  • Kismis- 1tablesapoon
  • Bhuna hua jeera-1 tablesapoon
  • Lal mirch powder-1 choti chamach
  • Refind tel- talne ke liye

How to Make Dahi Vada Recie- Vidhi

Dal ko dho kar 2 ghante ke liye pani me bhigo dijiye.

Pani nikal dijiye aur dal ko halki dar-dari pees lijiye.Ek bartan me lekar, aur 1 chamach pani me hing ghol kar dal me mila dijiye.

Dal ko 1/4 choti chamach namak mila kar achi tarah dal flupy hone tak faint lijiye.

Ek kadai me vade talne ke liye tel daaliye aur garam kijiye.

Ek choti katori lijiye us par ke saf dhula hua kapda dhak kar piche ki aur se pakad lijiye.

Kapde par hath se thoda sa pani lagaiye.

Ab anguliyo ke sahare se thodi si dal nikaliye aur kapde ke upar rakhiye, dal ke upar 2 kaju ke tukde aur 1 kismis daliye, kismis kaju ko charo aur dal utha kar band kar dijiye, vade ko anguliyo se dba kar chapta aur gol kar lijiye.

Halke hath se usse kapde se hata kar kadhayi me talne ke liye daliye.

4-5 vade ya jitne vade kadhayi me aa jaaye, daliye aur taliye, jab vade brown ho jaaye tab unhe kadhayi se nikal kar plate me rakhiye.

Saare dahi vade issi tarah se tal kar tyaar kar lijiye.Aapke dahi vade tyaar hai.

Ab ek bartan me 1 liter pani lijiye aur halka garam kijiye.Isme 1/2 choti chamach namak mila dijiye.Ab saare vade namkin pani me dal dijiye.

Tale Hue Vade Aap Khane ke Aadhe ghante Pehle Pani me Bhigoye.
1/2 ghante baad vade pani me bhig kar naram ho jaayege.

Ab ek vada pani se nikaliye aur hatheli se dba kar , usse adhik pani ko nikal dijiye aur dusre bartan me rakh dijiye.

Ab dahi ko math lijiye aur 1/2 chamach namak aur 2 choti chamach chini mila lijiye.

Dahi ko vado ke upar dal dijiye.

Bhuna hua jeera burak dijiye.Lal mirch (agar aap pasand karte hai) bhi burak dijiye.

Hare dhaniye se sjaiye, Dahi Vada Recipe ban kar Tyaar hai.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact