AK VEG RECIPES

Saturday, 11 February 2017

Adrak Hari Mirch ka Achar

Tikhe ke shokino ke liye aaj ham khas adrak hari mirch ka achar ki recipe laye hai.Patli hari mirch, adrak, sarso aur sirke se tyaar hone vala yah achar kafi chat-pta aur majedar hota hai.
adrak hari mirch, achar

Ingredients for Adrak Hari Mirch ka Achar-Avshyak Samgri

  • Hari Mirch-100gram
  • Adrak-150gram
  • Namak-2 choti chamach
  • Haldi Powder-1 choti chamach
  • Sarso ke dane-2 tablesapoon(dardare kute)
  • Sarso ka tel- 6 choti chamach
  • Sirka - 4 choti chamach
  • Nimbu-2

How to Make Adrak Hari Mirch Achar-Vidhi

Adrak ko chil lijiye aur hari mirch ke sath ashe se dho kar 4-5 ghante dhup me sukha lijiye.

Dono ke sukhne ke baad, sabse pehale hari mirch ka danthal chaku se kaat kar hata dijiye.

Iske baad, mirch ko 2 bhago me lambai me kaat lijiye, Jyada lambi mirch ko bich se kaat kar chaar tukde kar lijiye.

Issi parkar saari hari mirche kaat kar tyaar kar lijiye.Adrak ko bhi patle-patle tukdo me kaat lijiye.

Ek bada pyala lijiye aur isme kate hue adrak aur hari mirch dal dijiye.

Mirch katte samay jo beez alag reh gye ho , unhe pyale me mat daaliye.

Adrak-mirch me namak, haldi powder aur dar-dari kuti sarso dal dijiye.Sath hi, sarso ka tel aur sirka bhi dal dijiye.

Iske baad, nimbu ko kaat kar masalo ke upar nimbu ka ras nichod dijiye.Sabhi masalo ko adrak-hari mirch me ashe se milne tak mix kar lijiye.

Adrak hari mirch ka swadist achar ban kar tyaar hai.

Iss achar ka sevan abhi bhi kiya ja sakta hai, par achar ka asli swad 2 din ke baad hi milega, jab adrak aur hari mirch masale ko ashe se sokh lege.

Achar ko kisi bhi container me bhar kar rakh dijiye aur 2-3 din tak sukhe saaf chamach se achar ko upar niche karte rahiye.

Yah achar pure 3-4 mahino tak rakh kar khaya ja sakta hai.

Jab bhi aapko khane ke sath tikhe achar ka man ho to container se achar nikaliye aur maje se khaiye.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact