AK VEG RECIPES

Tuesday, 25 July 2017

Janmashtami Recipes: Janmashtami Recipes in Hindi

Dosto sabse pehale aapko krishna janmashtami ki bohat bohat mubarakbaad.Krishna ji aap sab ki zindagi me bohat saari khusiya le kar aaye.Janmashtami par bohat saari chije ghar me banti hai, jaise asha khana, bohat sari mithai aur aaj ham unme se kuch recipes aapko btane ja rahe hai.

janmashtami recipes

JANMASHTAMI RECIPES

Panjeeri For Janmashtami Parshad-

Panjeeri Recipe

 पंजीरी: Hamare yaha new mothers ke liye uski health ko dhyan me rakhte hue kayi parkaar ke khane bana kar diye jate hai, jinme se ek hai Panjeeri.Janmashtami bhi aane vali hai, aur janmashtami me parshad ke liye panjeeri (Panjeeri for janmashtami/Panjeeri Janmashtami parshaad ke liye) ek dam sahi hai.To aaiye banate hai Panjeeri Recipe.

Migi Paag Recipe-


Migi Paag Recipe

Migi Paag ek vrat ki recipe hai, jo vishes roop se krishna janmashtami par banaya jata hai, Migi Paag kharbuje ke bijo se banaya jata hai, iss liye yah bohat swadist hota hai.To aaiye sikhte hai kaise banta hai Migi Paag ya kharbuje ke bijo ka Paag.

Coconut Recipes-


coconut recipe

Dosto jnmashtami yaani ki krishna ji ka din aane vala hai, to kuch mitha banana to banta hai.To aaj ham batayege coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.Agar khane ke baad kuch mitha khane ka bohot man kar raha hai to isse jrur try kare, yah bohot hi swadist 😋kheer hai.To aaiye😊 banana suru karte hai coconut kheer recipe/nariyal ki kheer.

Rasmalai Recipe-

Rasmalai Recipe
Rasmalai Recipe_Rasmalai ka naam sunte hi muh me pani😋 aa jata hai, fir chahe vah bacha ho ya budha.Rasmalai Recipe bohat hi swadist bengali mithai hai, isko khate hi aisa lagega ki yah devo ki khas hai.Aap ise aksar bajar se le kar khate hoge, lekin aap isse ghar par bhi aasani se bana sakte hai.

Bread Gulab Jamun-

Bread Gulab Jamun
Gulab jamun se jada swadist kya koi aur mithai ho sakti hai?Nahi na!
To aaj ham Gulab Jamun ki Recipe batayege lekin thodi si alag- aaj ham Bread Gulab Jamun Recipe batayege.Vese bhi khane ke baad kuch Mitha khane ka man karta hai.To aaiye jaldi se shuru karte hai, Bread Gulab jamun Banane ki vidhi.

Rasgulla Recipe-

Rasgulla Recipe
Isse bnana thoda muskil hai par thodi si practice se aasani se banaye ja sakte hai.Aayie ham suru karte Rasgulla Recipe.

Rabri Recipe-

Rabri Recipe
रबड़ी: Rabri dudh se banne vali mithaiyo me sabse swadist hoti hai.Rabri muh me jate hi ghul jati hai, Rabri ka swad apne aap me bohat hi nirala hota hai.Aksar aap rabri khane ke liye bajaar(market)  me jate hai, lekin aap ghar par hi bohat swadist rabri bana sakte hai.

Malai Ghevar-

Malai Ghevar

Ghevar bohot hi swadist mithai hoti hai, aur ise 56 bhog ke andar hi gina jata hai.Savan aur Raksha Bandhan me ghevar ki special demand hoti hai.Malai Ghevar kaise banate hai yaha se sikhiye.Ghevar me aapko kayi parkar ki varieties mil jayegi jaise ki- Plane Ghevar, Mawa Ghevar aur Malai Ghevar Recipe.


Balushahi Recipe - 


balushahi recipe

Balushahi khane me ek dam khasta va swadist hoti hai aur isme mawa ka upyog nahi hota.
Dipawali ke parv par mithaiya to ham banayege hi.Mithaiyo ki adhik mang ke karan bajar me jo mawa milta hai,vah adhikans milavti hota hai issliye aisi mithai banana asha haijisme mawa upyog nahi hota , issliye aaiye aaj ham balushahi banaye.

Mathura Peda Recipe-


Mathura Peda Recipe

Mathura peda se savaadist aur ashe pede duniya bhar me kahi nahi milte.Mathura ji ke pede gaay ke dudh se banaye jate the lekin aaj kal gaay ke dudh ki bajaay bhains ke dudh se bhi banaye jate hai.Mathura peda banate samay mawa ko adhik se adhik buna jata hai.

Badam Katli/Almond Burfi-


Badam Katli

 Mithe me Badam ka ek naya swad chakhna hai, to banaiye badal katli.Yah Recipe behad aasan aur lajij hai.
Aaj ham badam se burfi banayege.Badam Burfi kayi tarah se banayi jaati hai,lekin sirf badam aur chini se mila kar banayi badam katli ka svaad mawa ya condesed milk se milkar banayi gayi badam katli se ekdam alag hota hai aur iski self life bhi adhik hoti hai.

Online Krishna Dress
Online Radha Krishna Statue
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact