AK VEG RECIPES

Tuesday, 25 July 2017

Migi Paag Recipe: Janmashtami Recipe

Migi Paag ek vrat ki recipe hai, jo vishes roop se krishna janmashtami par banaya jata hai, Migi Paag kharbuje ke bijo se banaya jata hai, iss liye yah bohat swadist hota hai.To aaiye sikhte hai kaise banta hai Migi Paag ya kharbuje ke bijo ka Paag.

MIGI PAAG RECIPE: JANMASHTAMI RECIPE

migi paag recipe

Ingredients for Migi Paag Recipe-

  • Migi (kharbuje ke beej)- 100 gram(1cup)
  • Ghi - 1tablesapoon
  • Chini - 200gram (1cup)
  • Paani - 75gram (2/3cup)

How To Make Migi Paag Recipe-

Migi ko Thali me daal kar dekh lijiye koi chilka ya kachra to nahi hai, kadhayi me ghi daal kar garam kijiye, Migi garam ghi me daal kar dhimi aag par bhuniye, yadi beej bhunte samay uchat kar kadhayi se bahar nikal rahe ho to ek hath se ek thali le kar uske upar dhak lijiye aur dusre hath se chamach se chala chala kar bijo ko bhuniye, bijo ke gulabi hone ke baad unhe plate me nikaal lijiye.

Ab chashni tyaar karte hai, chashni banane ke liye, kadhayi me chini aur paani daal kar garam kijiye, chini ghulne ke baad, chashni ko 3-4 minute ubalne dijiye.Chashni ki plate me ek bund tapkaye aur ungali aur anguthe ke bich chipka kar dekhe chashni me taar bante dikhayi dege.

Yadi aapko lage ki chashni me taar nahi aa rahe hai, to 2-3 minute aur paka lijiye, hath se chipkane par chashni me taar aa rahe ho tab chashni tyaar ho gayi hai.Bhune hue bijo ko chashni me daal kar ashi tarah kalchi se milaiye aur lagataar tab tak milate rahiye jab tak ki beej aur chashni ek na ho jaaye.

Ek thali me ghi laga kar chikna kare aur chashni mile bijo ko daal kar iss thali me faila dijiye.1/2 inch mota paag ki parat jamaa lijiye.15-20 minute me ye paag jam jaayega.Paag ko chaku se chokor ya aytakaar katiye aur khaiye.

Bache hue migi paag ko air tight container me bhar kar rakh lijiye.Jab bhi kuch mitha khane ka man kare migi paag container se nikaliye aur khaiye.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact