AK VEG RECIPES

Sunday, 11 December 2016

How to Make Noodles Spring Roll :Best Recipe in Hindi

Bacho aur young generation ko noodles spring roll bohat pasand aate hai.Aaj ham wrappers maida ko bel kar tave par sek kar tyaar karege.
noodles spring roll,recipe

Ingredients (Avshyak Samgri)-

Aata Lgane ke Liye-

  • Maida-1cup
  • Namak-1/4 choti chamach
  • Tel-2choti chamach

Stuffing kr Liye-

  • Noodle-1 cup ubaale hue
  • Paneer-1/4 cup chote tukado me kataa hua
  • Patta gobhi-1/2 cup baarik kati hui
  • Matar ke daane-1/4 cup
  • Shimla mirch-1/4 cup baarik kati hui
  • Haraa dhaniya-2-3 tablesapoon
  • Hari mirch-1-2 baarik kati hui
  • Adrak-1/2 inch adrak ka tukda kaddukas kiya hua ya 1/2 choti chamach paste
  • Nimbu ka ras-1 choti chamach ya 1 choti chamach sirka
  • Soya sauce-1 choti chamach
  • Kali mirch-1/4 choti chamach
  • Namak-1/2 choti chamach ya svadanusaar
  • Tel-stuffing bnane me aur spring roll talne ke liye

How to Make Noodles Spring Rolls-Vidhi


Aata guth kar tyaar kariye:Maida ko kisi bade pyale me dalkar ,maida me tel aur namak dalkar mix kar lijiye,thoda-thoda halka garam pani dalte hue naram aata guth lijiye(itna aata guthane me lagbhag 1/2 cup se halka sa kam pani lag jayega).Aate ko 10-15 minute ke liye dhak kar rakh dijiye ,taaki aata ful kar set ho jaaye.

Stuffing Tyaar Kariye-

Pan me 1 tablesapoon tel dalkar garam kijiye,garam tel me adrak ka paste,hari mirch dalkar halka sa bhun lijiye,matar ke daane dalkar 2 minute dhak kar halka sa bhun lijiye,shimla mirch aur patta gobhi dalkar 1-1/2 minute bhun lijiye.Paneer,namak,kali mirch,noodles,soya sauce,nimbu ka ras aur haraa dhaniya daalkar saari chijo ko mix hone tak pka lijiye.Stuffing tyaar hai,isse pyale me nikaal lijiye.

How to Make Wrappers for noodles spring roll-

Maida se choti-choti(nimbu ke aakar jitani) gol loi bna kar tyaar kar lijiye(itne aate se lagbhag 14 loi ban jaayegi).1 loi ko uthaiye,sukhe maida me lapet kar 5-6 inch ke vyaas me patla beliye,beli hui puri ko alag plate me rakh lijiye.Dusri loi se bhi issi aakar ki patali puri bel kar tyaar kar lijiye.Ab iss puri ke upar 1/2 choti chamach tel dalkar saari aur faila dijiye,ab pehali puri jo hamne bel kar alag plate me rakhi thi,uss puri ko iske upar rakh kar ,dbakar ,kinare se belate hue aur patla 8-10 inch ke vyass me bel kar tyaar kar lijiye.Beli hui puri ko halke garam tave par daaliye aur niche ki aur se halka sa sikane par palat kar dusari aur se bhi bilkul halka sa sek kar plate me rakh lijiye.Ye 2 wrapper ek sath sik kar tyaar ho gaye hai.

Spring Roll Bhar kar Tyaar Kijiye-

Stuffing aur wrapper tyaar hai.1 tablesappon maida ka gadha ghol bna lijiye,jis se roll ko chipkaiye .Wrapper ko kholiye aur 1 wrapper ko chakle par andar ki satah upar karte hue rakhiye.2 chamach stuffing wrapper ke upar ki aur kinara thoda chodte hue,patla failate hue rakhiye.Pehale upar ka kinara modiye aur ab thoda-thoda ghol maida lgakar side ke dono kinare mod kar chipka dijiye,aur roll kijiye,akhiri kinara par maida lgakar ashi tarah chipka kar roll tyaar kar lijiye,aur kisi plate me rakh lijiye.Saare spring roll issi tarah bhar kar bnakar tyaar kar lijiye.

Spring roll ko shallow fry kijiye-

samtal tale ke pan me 2 tablesapoon tel dalkar garam kijiye,3-4 spring roll ya jitane spring roll aa jaye utane spring roll kadhayi me sikane ke liye lga dijiye.Dhimi aur medium aag par kadhayi me spring roll ko palat-palat kar charo aur se brown hone tak sek kar kisi napkin bichi plate me nikaal lijiye.Saare noodle spring roll issi tarah sek kar tyaar kar lijiye.

Spring roll ko deep fry kijiye-

Kadhayi me thoda tel aur daal dijiye,taaki spring roll tel me duba kar tale ja sake.Tel medium garam hone par ,jitane spring roll kadhayi me ashi tarah se aa paye daal dijiye,medium aur dhimi aag par spring roll ko palat-palat kar charo aur se golden brown hone tak tal kar ,napkin bichi plate me nikaal lijiye.Saare noodle spring roll issi tarah tal kar tyaar kar le.

Shallow fry aur deep fry dono tarah se fry kiye gaye noodle spring roll tyaar hai.Ab inhe garma-garam tomato sauce ya green chilli sauce ke sath parosiye aur khaiye.
Sujhav-

  1. Noodle spring roll ko oven me bake bhi kar sakte hai:Oven me bake karne ke liye ,oven ko 200 degree centigrade par preheat kijiye,aur noodle spring roll ko tray me thodi-thodi dur par lga dijiye aur oven me rakhiye.Oven ko 200 dgree centigrade par hi 10 minute ke liye set kijiye,iske baad check karte hue samay badhate hue spring roll ko golden brown hone tak bake kar lijiye.

Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact