AK VEG RECIPES

Saturday, 28 January 2017

Paneer Sandwich Recipe

Turat furat bhukh mitani ho aur kuch postic bhi chahiye, to sabse aasan vikalp hai paneer sandwich.Paneer aur manpasand sabjiyo ki bharavan se tyaar ye sandwich bhukh shant karne ke sath-sath aapke jaayke ko bhi badhiya kar dete hai.
paneer sandwich,recipe

Ingredients for Paneer Sandwich Recipe-Avshyak Samgri

  • Brown bread-4
  • Paneer-100gram
  • Patta gobhi-1 cup(kaddukas ki hui)
  • Gajar-1/2 cup(kaddukas ki hui)
  • Makhan-1 tablesapoon
  • Hara dhaniya- 2-3 tablesapoon
  • Hari mirch ka paste-1/4 choti chamach
  • Kali mirch powder-1/4 choti chamach se kam
  • Namak-1/2 choti chamach ya swadanusaar

How to Make Paneer Sandwich-Vidhi

Stuffing Tyaar Kijiye-

Paneer sandwich banane ke liye paneer ko kaddukas kar lijiye.Kaddukas kiye paneer me pattagobhi,gajar, namak, kali mirch aur hari mirch ka paste daal dijiye.Sath hi sath isme hara dhaniya bhi daal dijiye aur saari samgri ko ashe se mix kar lijiye.
Sandwich me bharne ke liye stuffing tyaar hai.

Bread Slice Stuff Kijiye-

Sandwich maker ko on karke garam kar lijiye.Issi bich, sandwich me stuffing lga kar tyaar kar lijiye.Iske liye ,ek-ek karke bread slice lijiye aur in par thoda sa makhan lga kar ek saman faila lijiye.Makhan lagane ke baad, ek bread par 2 se 2.5 chamach stuffing rakhiye aur charo taraf faila lijiye.Fir isse dusri,bread se dhak dijiye.Issi tarah dusra sandwich bhi bhar kar tyaar kar lijiye.

Sandwich Grill Kijiye-

Iske liye dono stuffed sandwich ko sandwich maker me rakh dijiye aur sandwich maker ko band karke 3 se 4 minute tak grill kar lijiye.4 minute baad, sandwich check kijiye.Ek dam brown crispy sandwich ban kar tyaar hai, inhe sandwich maker se nikaal kar serving plate me rakh lijiye aur bich me se tircha kaat lijiye.

Crispy, swadist aur postic paneer sandwich ban kar tyaar hai.

Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact