AK VEG RECIPES

Wednesday, 9 November 2016

Mooli Paratha: Mooli Paratha Recipe

Mooli ke parathe uttar bharat me bohat pasandkiye jate hai,mooli ke bharva parathe bhi banaye jate hai aur kaddukas ki hui mooli ko aate me guth kar bhi.Aaj ham mooli paratha banayege.

MOOLI PARATHA RECIPE

mooli,paratha,recipe

Ingredients For Mooli Paratha (Avshyak Samgri)-

  • Gehu ka aata -2 cup
  • Kaddukas ki hui mooli -2cup
  • Haraa dhaniya-3 tablesapoon(baarik kataa hua)
  • Ajvayin-1/4 choti chamach
  • Hari mirch-3(baarik kati hui)
  • Adrak paste-1choti chamach'
  • Namak-1choti chamach se thoda sa kam ya savadanusaar
  • Tel-3-4 tablesapoon

How to Make Mooli Paratha Recipe (Vidhi)-

Ek bade bartan me aata nikaal lijiye, isme kaddukas ki hui mooli, namak, ajvayin, baarikkati hari mirch, adrak ka paste, baarik kataa hua haraa dhaniya aur 1 choti chamach tel daal dijiye.

Sabhi chijo ko ashe se milaiye, ab isme thoda-thoda paani daalte hue thoda sa sakht aata guthiye, guthe aate ko 10 minute dhak kar rakh dijiye taaki aata set ho jaaye.

Parathe banane ke liye aata tyar hai.Tava gas par rakh kar garam kijiye.

Guthe hue aate se thoda sa aata nikaliye aur gol loi banaa lijiye.Loi ko sukhe aate me lapet kar 4-5 inch ke vyaas me bel kar tyar kijiye.

Iss par thoda sa tel daal kar failaiye aur aadha mod lijiye.Aadha mude parathe par thoda sa tel daal kar uske upar failaiye.

Fir se aadha mod lijiye,tyar tikon ko sukhe aate me lapetiye aur tikon aakar me halka sa mota paratha bel lijiye.

Tave par thoda tel daal kar charo aur faila dijiye.

Bele gye tikon parathe ko tave par daaliye, parathe ko nichali satah par halka sa sikne par palat dijiye.

Jab paratha dusari aur halki brown chitti aate hue sik jaaye tab pehali satah par thoda sa tel daal kar charo aur faila dijiye, parathe ko palat dijiye, dusari aur bhi tel daal kar failaiye, parathe ko upar se chamach se dabaate hue, brown chitti aane tak sek kar palat dijiye.

Parathe ko dono aur se brown chitti aane tak sek kar utaar lijiye.Sike hue parathe ko kisi plate me nikal lijiye.

Saare parathe issi tarah banaa kar tyar kar lijiye, itne aate se lagbhag 6 parathe bankar tyar ho jaate hai.

Aapke garma-garam Mooli Paratha/Mooli Paratha Recipe bankar tyaar hai, parosiye aur khaiye.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact