AK VEG RECIPES

Sunday, 16 October 2016

Aloo Paratha Recipe: Aloo Paratha Recipe in Hindi

Hello friends, Bhartiya khane me aloo ki tarah-tarah ke parathe prachlit hai.Jaise aloo ka paratha, muli ka paratha, dal ka paratha, gobhi ka paratha aadi.Aaj ham Aloo paratha bnayege, aapko ye recipe jarur pasand aayegi.Aaiye suru kare Aloo Paratha Recipe.

ALOO PARATHA RECIPE IN HINDI

Aloo,paratha,recipe

Ingredients for Aloo Paratha Recipe (Avshyak samgri)-

Aata lgane ke liye-

  • Gehu ka aata-400gram
  • Tel-1tablesapoon

Stuffing ke liye(bhravan ke liye)-

  • Aloo-6-7 madhyam aakar ke(400gram)
  • Dhaniya powder-1choti chamach
  • Lal mirch powder-1/4choti chamach
  • Garam masala-1/4choti chamach
  • Amchur powder-1/4 choti chamach
  • Hari mirch-2-3
  • Hra dhaniya-barik katra hua(2-3tablesapoon)
  • Namak-1choti chamach(svadanusar)
  • Refined oil ya desi ghi-parathe me lgane ke liye

How to Make Aloo Paratha Recipe (banane ki vidhi)-

Sabse pehale cooker me 1 gilas(glass) pani aur aloo dal kar gas par rakh dijiye, 1 sity aane ke baad 1-2 minute dhimi aanch par aloo ublne dijiye,gas band kar dijiye aur cooker ka pressure khtam hone ke baad cooker se aloo nikal lijiye.

Aate me 2 choti chamach ghi ya tel daliye, 1/4 choti chamach namak dal kar ashe se mila lijiye, pani ki shayta se naram aata guth lijiye.Guthe aate ko dhak kar 15 minute set hone ke liye rakh lijiye.

Uble hue aloouo ko thanda karke chiliye aur aur unhe barik tod lijiye.Isme namak, lal mirch, garam masala, amchur powder, hari mirch, dhaniya powder, hra dhaniya dal dijiye aur ashi tarah se  mila lijiye.

Aloo parathe me bharne ke liye aloo ki pithi tyar hai,isse 11-12 bhago me brabar baat lijiye.

Aate ke brabar 11-12 gole bna lijiye,golo ko belan ki shayta se beliye,bele gye parathe ke upar thoda sa tel lgaiye aur us par aloo pithi ka ek bhag rakh dijiye.

Fir Parathe ko charo aur se uthakar band kar dijiye,hatho ki shayta se halka sa dba kar chpta kar lijiye aur belan ki shayta se 7-8 inch ke vyas me bel lijiye.

Gas par tva rakhiye aur tva garam hone par tve par thoda sa tel lgaiye aur bela hua paratha tve par daliye.

Paratha niche se sikne par upar ke bhag par thoda sa tel lga kar palat dijiye, paratha dono taraf se brown hone tak sek lijiye fir tve se utha kar plate me napkin bicha kar plate me rakh lijiye.

Issi tarah sare parathe tyar kar lijiye.Tyar hai aapke Aloo Paratha Recipe makhan ya dahi ke sath parosia.
Subscribe Us by Email and Get Free Updates On Hot Topics!
Share:
"+y+""}else{if(A==5){c+='
  • '+w+""+y+"
  • "}else{if(A==6){c+='
  • "+w+'
    '+u+""+y+"
  • "}else{c+='
  • "+w+"
  • "}}}}}s.innerHTML=c+=""+y;d.callBack()};randomRelatedIndex=h;showRelatedPost=g;j(d.homePage.replace(/\/$/,"")+"/feeds/posts/summary"+e+"?alt=json-in-script&orderby=updated&max-results=0&callback=randomRelatedIndex")})(window,document,document.getElementsByTagName("head")[0]); //]]>
    ← Newer Post Older Post → Home
    Copyright © Veg Recipes About | Privacy | Contact