Matar ki sabji ka swad sabhi ko bohat pasand aata hai.Hari matar me protine, carbohydret pryapt matra me paye jaate hai,hari matar me B group ke vitamin kafi matra me paye jate hai.
Hari matar ka mosam november se suru ho jata hai,march ke ant tak bajar me hari matar khub milti hai,aap iss mosam me milne vale taje hare matar ko preserve karke freezer me rakh sakte hai.
Ingredients for How to Preserve Green Peas in Hindi (Avshyak Samgri)-
- Hari matar ke dane-700gram
- Chini-2choti chamach
How to Store Green Peas-Vidhi
Matar ko preserve karne ke liye hare taje matar ke dane chahiye, matar preserve karne ke liye hamesha naram aur ashi quality ki hi matar le.
Matar ke dano ko pani se ashi tarah 2 baar dhoiye aur atrikt pani hata dijiye.
Kisi bartan me itna pani bhar kar ubalne rakhiye ki matar usme dub sake, pani me ubaal aane par, isme chini daal dijiye.Iske baad , matar ke daane ubalte pani me daaliye aur ghadi se dekh kar pure 2 minute pani me rahne dijiye, samay khatam hone par aag band kar dijiye.Matar ko chalni me daaliye aur atrikt pani nikaal dijiye.
Dusre bartan me ekdam thanda pani lijiye aur chalni me nikaale gaye matar ke dane thande pani me daaliye.Matar ke thanda hone ke baad, matar ko chalni me daal kar atrikt pani hata dijiye.Matar ke daane chote-chote zip lock polythene bags me bhar lijiye.Matar bhare bag apne freezer me rakh dijiye.
Iss tarah preserve karke rakhi hui hari matar taje matar ki tarah hi lagti hai.Preserve matar aapke freezer me hai, jab man ho matar nikaaliye aur sabji bana lijiye.
Sujhav-
- Ek bag me sirf ek baar upyog ki jaane layak matar preserve karna adhik suvidha janak hota hai.
- Chini ka upyog matar me mithas aur asha hara rang laane ke liye kiya gaya hai.
- Matar ko ubalte pani me daalne ke baad bas 2 minute hi rakhe,isme kam ya adhik samay tak na rakhe.
- Aap freez ka ek dam thanda pani le sakte hai ya fir sade pani me burf bhi daal sakte hai.
- Aap matar preserve karne ke liye packets ki jagah container ka bhi istmaal kar sakte hai lekin packets freezer me lagana aasan hai aur yah kam jagah me bhi ban jate hai.
- Aap sada polythene bag lekar tap se band kar sakte hai ya ruberband laga kar bhi band kar sakte hai.
- Matar ki hi tarah aap broccoli , beans aadi bhi preserve kar sakte hai.
EK SUJHAV > zIPLOCK ME PACK KARNE KE PEHLE 2-4 GHANTE MATAR KE DANE PANKHE KE NEECHE RAKHE FIR PACK KARE
ReplyDelete2- AGAR FIDGE ME JAGAH KAM PAD JAY AUR DANE JADA HO TO CHINTA NA KARE .RAT BHAR PANKE KE NICHE RAKHNE KE BAD DHOOP ME ACHCHI RARH SUKHA KAR JIP LOK ME PACK KARKE RAKHLE . JAB USE KARNA HO 2 GHANTA PANI ME BHIGO KAR USE KARE .FROZEN MATTER LAST ME USE KARE
ABHI MOSUM HE SHURU HO JAEIYE
SHYAM KISHORE TANDON ji iss sujhav ke liye bohat-bohat dhanyavad.
Delete