Matar,masale paneer roll paneer ki stuffing ko taji bread me bhar kar banaye hue paneer bread rolls kisi bhi khas avsar par ya sham ko halke fulke nashte me bana sakte hai.
![Bread paneer rolls recipe bread paneer rolls,recipe](https://2.bp.blogspot.com/-LzP5aOm3ZBQ/WGx_xtbwaeI/AAAAAAAAAnE/SM_EjZwAXhAV6aVXmdvAnTf1wWNqU7qPACLcB/s320/Paneer-stuffed-bread-rolls-recipe-by-akvegrecipes.jpg)
Ingredients for Stuffed Paneer Bread Rolls(Avshyak Samgri)-
- Bread-6
- Paneer-150 gram(1 cup crumble kiye hua)
- Shimla mirch-1/4 cup baarik kati hui
- Matar ke dane-1/4 cup
- Hara dhaniya-2-3 tablesapoon(baarik kata hua)
- Adrak-1 choti chamach paste
- Hari mirch-2(baarik kati hui)
- Chaat masala-1 choti chamach
- Namak-1/4 choti chamach ya swadanusaar
- Tel-talne ke liye
How to Make Bread Paneer Rolls-Vidhi
Paneer ko crumble kar lijiye.Pan me tel Daal kar garam kijiye,tel garam hone par isme hari matar aur shimla mirch daal kar thoda sa bhun lijiye.Adrak,hari mirch,paneer daal dijiye,namak,chaat masala,daal kar 2minute lgatar chalate hue paka lijiye.Hara dhaniya daal kar mix kar lijiye.Stuffing ban kar tyaar hai , gas band kar dijiye.
Stuffing ko plate me nikaal kar thanda hone dijiye.Bread ke kinare chaku ki sahayta se kaat kar alag kar dijiye.Saare bread issi tarah tyaar kar lijiye.Ek plate me thoda sa pani le lijiye aur ek bread ko panime duba kar nikaal lijiye,pani me bhigi hui bread ko hatheli par rakhiye,dusari hatheli se daba kar , bread ka pani nikaal dijiye.
Ab iske upar 2 ya 2 1/2 chamach stuffing rakh dijiye aur bread ko mod dijiye aur charo aur se ashi tarah daba kar stuffing ko band kar dijiye.Issi tarah saari stuffing ek-ek bread me daal kar tyaar karke, roll bana kar plate me laga kar rakh lijiye.
Kadhayi me tel daal kar garam kijiye, tyaar roll uthaiye aur garam tel me daaliye aur kalchi se palat-palat kar brown hone tak taliye.Tale hue bread roll nikaal kar ,plate me biche napkin par rakhiye.Saare roll issi tarah se tal kar tyaar kar lijiye.
Garma-garam paneer bread rolls ko Chiili sauce ya tomato sauce ke sath parosiye aur khaiye.
Sujhav-
Bread ko pani me bhigo kar , bread ko turant nikaal lijiye, bread par stuffing rakhiye aur bread ko charo aur se utha kar stuffing ko ashi tarah band kar dijiye,agar ye khuli rahe to tel me nikal sakti hai.
Roll ko talte samay tel asha garam hona chahiye, kam garam tel me roll daal kar talne se, ve tel ko sokh kar sakte hai.
0 comments:
Post a Comment