Hello friends, Aaj mai apni sweet samosa recipe batane ja rahi hu,jo bnane mai asan aur khane mai lajavab. Aap kitty party to karti hi hongi ,aur apni friends ko apne nye -nye aur mahnge kapde dikha kar jlati bhi hongi,shi kha na ,aap apne nye aur mahnge kapdo ke sath agar apne hath ka svad dikhaye to aap unko aur bhi jla skti hai.Aap apne bacho aur bado ko meri is recipe se khus kar sakti hai garma garam chay ke sath sweet sweet mawa samose kha ke.
Ingredients for Sweet Samosa Recipe(Avshyak Samgri)-
- mawa(khoya)- 150 g(3/4 cup)
- sugar- 150g(3/4 cup)
- kaju -2 table spoon(ek kaju ko 6-7 tukado mai kat lijiye)
- kishmis- 2 table spoon
- choti ilaychi- 4(kut lijiye)
samose par aata lgane ke liye-
- meda- 400g(4 cup)
- ghi- 100 g(1/2 cup)
- ghi- samose fry karne ke liye
How to Make Sweet Samosa(Vidhi)-
Stuffing Tyar Karne ke Liye-
sabse pahle aap kisi bhare tale ki kdhayi lijiye ,usme mawa dal kar brown hone tak bhuniye,chini pis kar,kaju,kishmis,ilaychi ko achi tarah se mila lijiye...samosa bhravan samgri tyar hai
Samosa ke Liye Aata Tyar Karna-
maide ko kisi bartan mai chan lijiye ,ghi ke sath achi tarah se milaiye.gungune pani ke sath aata gunth lijiye.aate ko 20-25 miniut ke liye dhak kar rakh dijiye.
Samosa Tyar Karne ke Liye-
Guthe aate ko masal le taki aata chikna ho jaye,guthe huye aate me se thoda sa aata(nimbu ke akar jitna) nikal le ,gol kijiye aur belan ki shayta se puri ke akar me 4 inch ke vyas me bel lijiye.is puri ko 2 bhago me kat lijiye,ek bhag ko samosa ke akar me mod lijiye aur mod ko pani lgakar chipka lijiye,dusra bhag jo ki tikon he usme mawa ki tyar samgri bhar dijiye aur piche ke kinare ko mod dijiye,ab dono kinaro par pani lga kar chipka dijiye.tyar samoso
ko thali me rakh le,baki samosa ko bhi isi trah tyar kar le.
kdayi me ghi dal kar garm kar le,ghi garm kar ke ghi me4-5 samosa dal kar midium aanch par palat-palat kar brown hone tak tal le.ab ek plate me nepkin paper bicha kar samosa usme nikal kar rakh lijiye.Isi parkar baki bache samosa bhi tal kar plate me rakh lijiye.
Ab aapke garma-garm samosa tyar hai,sweet sweet samoso ko garma-garm chay ya coffe ke sath khaye aur apne dosto ,ristedaro,bacho,bado ....ko khila kar khus kar le meri is lajvab recipe se.
Aap bache hue samoso ko 20-25 din tak air free cantenar me rakh sakte hai ,20-25 din tak jab chahe tab khaye aur khilaye.
0 comments:
Post a Comment