Ak Veg Recipes

Ak veg Recipes is an online magazine or you can say a online blog to learn Indian Best Recipes in Hindi/Hinglish by an Indian Punjabi Girl.

  • home

How to Make a Barbie Doll Cake at Home (Recipe in Hindi)

Posted by Kaur in: cake recipes
Hello friends,aaj mai aapke liye ek khas recipe le kar aayi hu,jiska naam hai Barbie Doll Cake or Barbie Doll Birthday Cake.Yah khane me to yummy hai hi ,dekhne me bhi bohat hi jada pretty hai.To aaiye banate hai Barbie Doll Cake.

barbie doll cake,recipe Ingredients for Barbie Doll Cake at Home(Avshyak Samgri)-

Cake ke Liye(For Cake)-

  • Maida(all purpose flour)-600gram
  • Granulated Regular Chini(Sugar) - 3 1/2 cup / 700 grams
  • Tel ya Makhan(Oil or Melted Butter) - 1 1/2 cup / 360 ml
  • Dudh (Milk) - 2 1/4 cup / 540 ml
  • Ande(Eggs) - 5
  • Baking Powder - 5 1/2 tsp
  • Namak(Salt) - 1 tsp
  • Strawberry Essence - 2 tsp

    Sajavat ke Liye (For Decorations):
    • Vanilla Butter Cream jitani jarurat lage( Frosting as needed) 
    • Pink Food Coloring as needed
    • Sajavat ka Sman(Sprinkle and other decoration stuffs)

      Syrup ke Liye(For Sugar Water):
      • Chini (Sugar) - 1/2 cup
      • Pani(Water) - 1 cup
      • Strawberry Essence - 1/2 tsp

        Other Stuffs:
        • 18 cm Round(gol) Baking Pan- 2 Pan
        •  900 ml Glass Bowl (around 18 cm (paridhi) circumference)- 1Glass Bowl
        • Piping Bags, Star tips ke sath- 2
        • Plastic Wrap o Cling Film
        • Barbie Doll

        How to Make a Barbie Doll Cake at Home-Vidhi

        1. Sabse pehale Oven ko 160 degree centigrade par preheat kariye.
        2. Ab 1 oven safe glass bowl aur  2 cake pans lijiye, dhyan rakhe ki pans ka circumference (paridhi) ek smaan (ek brabar) hona chahiye.
        3. Ek sifter me flour ,baking powder aur thoda salt mila kar ashe se chan kar side me rakhe.
        4. Cake ke liye diye gaye saare ingredients (flour ko bhi ) ek bowl me le aur ashe se mila le.Cake ke liye batter tyaar hai.(aap isme thoda pink food colour aur strawberry essence bhi mila sakte hai)
        5. Ab batter ko round cake pans me bhar le (Fill the round cake pan just half way through) aur oven me 35 mins ke liye cake ko bake karle ,bowl me bhare cake batter ko 1 ghante  ya jab tak cake bake na ho jaaye bake kar le. Cake bake hone ke baad thanda karne ke liye freez me rakhe.
        6. Ab cake ko nikaal kar upar se kaat le.Ab bowl me bake hue cake ko le aur aadhe se kaat lijiye.
        7. Ab Chaku (Knife) ki madad se saari cake slice ke bich ek chota sa gola(circle) bna le (barbie doll ko cake me set karne ke liye).
        8. Ab Sugar water banane ke liye ,ek bowl me sugar (chini),pani,strawberry essence le kar ashe se mila le aur side me rakhe.
        9. Ab ek plate par round cake ki slice rakhe aur ek chamach sugar water le kar cake ke charo aur ,upar daal de aur brush se faila dijiye,ek chamach me butter cream le kar cake slice ke upar ashi tarah se lga dijiye.
        10. Ab dusari cake ki slice ko abhi abhi tyaar ki gayi cake slice ke upar rakhiye aur ussi tarah tyaar kar lijiye.
        11. Ab bowl cake half ko lijiye ,sugar water daal kar brush se charo taraf faila de ,thodi jyada butter cream iss cake slice par ashe se lgaaiye.Ab last cake slice ko upar rakhiye aur baki ki cake slice ki tarah tyaar kar lijiye.
        12. Ab pure cake ko buttercream lga kar ashe se cover kar lijiye.Ab kuch ghante (2 ghante) ke liye cake ko set hone dijiye.
        13. Ab cake ke bich (jha cake slice ke bich chaku se gola banaya tha) barbie doll insert kar dijiye aur jaisa ki image me cake dikh rha hai vaise hi decorate kar lijiye.
        Related Posts Widget

        0 comments:

        Post a Comment

        Newer Post Older Post Home

        Contact Form

        Name

        Email *

        Message *

        SWEETS Fast Foods baking vegetable-recipes cake recipes pakora recipes Sauce recipes VEGETARIAN SOUP RECIPES Icecream recipe Pulao Recipes Daal recipes chaat recipes Kadhi recipes Poori recipes Sarbat recipes

        Recent Posts

        "© Copyright 2014" Indian Tadka Recipes · All Rights Reserved · And Our Sitemap · All Logos & Trademark Belongs To Their Respective Owners·