Pizza ham oven me banate hai,lekin oven na ho ya lite na ho to pizza tave par bhi aasani se banaya ja sakta hai,aur tave par bna pizza utna hi asha hota hai jitna ki oven me bna pizza.
![Pizza recipe without oven pizza recipe,without oven](https://4.bp.blogspot.com/-ckFl8xAq-Tw/WF4s0TbA87I/AAAAAAAAAi0/EteTJmb7ZEELGlZvIe00Xzns6XuTHZKugCLcB/s320/pizza-without-oven.jpg)
Ingredients for Tawa Pizza (Avshyak Samgri)-
Pizza ka Aata lgane ke Liye-
- Maida-2cup
- Olive oil-2 tablesapoon
- Namak-1/2choti chamach ya swadanusaar
- Chini-1 choti chamach
- Instant dry active yeast-1 choti chamach leval karke
Pizza ke upar topping karne ke liye-
- Shimla mirch-1
- Baby corn-3
- Pizza sauce-1/2 cup
- Mozzarella cheese-1/2 cup
- Italian mix herbs-1/2 choti chamach
How to Make Pizza without Oven-Vidhi
Maida ko kisi bartan me chan kar nikaal lijiye,dry instant yeast ,olive oil,namak,aur chini daal kar milaiye, sari chijo ko ashi tarah milaiye,aur gungune pani ki shayta se chapati jaisa aata guthiye,aata lgane ke baad ,aate ko 5-7 minute tak masal-masal kar ek dam chikna hone tak guthiye.
Aate ko guth kar,kisi pyale me tel lga kar , 2 ghante ke liye dhak kar kisi garam jagah par rakh dijiye.itani der me aata ful kar dugna ho jata hai,pizza banane ke liye aata tyaar hai.
Pizza ke liye topping tyaar kar lijiye:
Shimla mirch ko kaat kar beez hta dijiye,aur lambai me patla-patla kaat lijiye,baby corn ko gol 1/2 cm ke tukde me kaat lijiye,aur sabjiyo ko tawe par daal kar 2 minute chamach se chalate hue halki si garam kar lijiye.
Pizza ka 1/2 aata tod kar le lijiye aur gol loi banaiye,loi ko sukhe maida ki shayta se 10-12 inch ke vyaas me 1/2 cm mota pizza bel kar tyaar kar lijiye.
Gas par tawa ya pan rakh kar halka sa garam kijiye,pan agar nan-stick nahi hai,tab pan ke upar thoda sa tel lga kar pizza sekane ke liye daaliye,aur dhak kar 2 minute ya pizza ke niche ki aur se halka brown hone tak sek lijiye,aag dhimi hi rakhiye.
Pizza ko palatiye,gas ek dam dhimi kar dijiye aur pizza ke upar topping kijiye.Sabse pehale pizza ke upar sauce ki patli si layer banaiye ,aur ab shimla mirch aur baby corn thodi-thodi dur par lga dijiye.Sabjiyo ke upar mozzarella cheese daal dijiye.
Pizza ko dhak kar 5-6 minute tak dhimi gas par sikane dijiye,pizza ke melt hone aur niche ki aur se pizza base ke brown hone tak sek lijiye.Pizza ko har 2 minute me check karte rahiye.Bohat hi yummy pizza ban kar tyaar hai.Pizza ke upar herbs daal dijiye aur kaatiye.Garma-garam pizza tyaar hai.
Sujhav-
- Agar aap instant yeast ki jagah dry yeast le rahe hai,to isse chini aur dudh ke gungune ghol me 5 minute daal kar active kar le.
0 comments:
Post a Comment