Alsi ki pinni sardiyo me khayi jane vali paramparik postic mithai hai,alsi ki pinni sardiyo me bna kar rakh lijiye,rojana 1-2 pinni khaiye,sardi,jukam,khansi,jodo ke dard sabhi me fayda pohchati hai.To aaiye banate hai punjabi pinni recipe.
![alsi ki pinni recipe alsi ki pinni,recipe](https://4.bp.blogspot.com/-U8_gceT2WhU/WF4tYWXJ27I/AAAAAAAAAi4/kFomxI8GOdo1X3vPnkCCHB4zGsnv1dmkACLcB/s1600/alsi-pinniyaan.jpg)
Ingredients for Alsi ki Pinni(Avshyak Samgri)-
- Alsi-500gram (4 cup)
- Gehu ka aata-500gram(4 cup)
- Desi ghi-500 gram
- Gud ya Chini-800 gram (4 cup)
- Kaju-100gram
- Badam-100gram
- Pista-1 tablesapoon
- Kismis-1 tablesapoon
- Gond-100gram
- Ilaychi-15(chil kar kut lijiye)
How to Make Alsi ki Pinni(Punjabi Pinni Recipe)-Vidhi
Alsi ko thali me daal kar ashi tarah chan bin kar saaf kar lijiye.Alsi ko sukhi kadhayi me daaliye,rost kijiye(alsi rost karte samay chat-chat ki avaj aati hai) aur mixi me pees lijiye.Inhe thode dardare pisiye,ekdam baarik mat kijiye.
Gehu ke aate ko aadha ghi daal kar brown hone tak aur ashi mehak aane tak bhun lijiye,Bhune aate ko kisi thali ya plate me nikal kar rakh lijiye.
Gond ko baarik tod kar bache hue ghi me taliye,garam ghi me thoda gond daaliye,gond ful jata hai, halka brown hone par thali me nikaaliye aur sara gond issi tarah tal kar nikaal lijiye.Thanda hone par tale hue gond ko chakle par ya kisi thali me belan ki shayta se dabaa-dabaa kar aur baarik kar lijiye,
Gond talne ke baad jo ghi bacha hua hai usme pisi hui alsi ko daaliye aur kalchi se chala -chala kar medium aur dhimi aag par ashi mehak aane tak bhuniye aur thali me nikaal lijiye.
Kaju,badam aur piste ko chota-chota kaat lijiye.
Gud ya chini ka aadha pani mila kar kadhayi me daaliye aur chashni banane ke liye rakhiye.Chini ghulne tak chamache se chalaiye aur 1 taar ki chashni tyaar kar lijiye (chashni ke test ke liye chamach se 1 bund chashni pyali me giraye aur anguli anguthe ke bich chipka kar dekhe ki jab anguli aur anguthe ko alag kare to chashni se taar niklna chaahiye).Aag band kar dijiye.
Chashni me bhuna aata,bhuni alsi,kaate hue mewe,gond aur ilaychi daal kar ashi tarah mila dijiye.Halka garam rehane par hath se thoda-thoda mishran nikaal kar laddu bna kar thali me rakhiye.Saare mishran se laddu bnakar tyaar kar lijiye.
Agar aap burfi jmana chahte hai to aap garam mishran ko ghi se chikani ki gayi thali me daaliye aur eksaar karke jma dijiye.Aadhe ghante ya jamne ke baad man pasand tukado me kaat lijiye.
Alsi ki pinni (Punjabi Pinni Recipe) tyaar hai.Isse aap 1 mahine tak kha sakte hai.

Savdhaniya-
- Gond ko talte samay aag dhimi ya medium hi rakhe,tej aag par gond asha nahi fulta .
- Pisi alsi ko dhimi ya medium aag par hi bhune(tej aag par jalne ka khatra hai).
0 comments:
Post a Comment